Chunaav

chunaav

Kya likhe kaise kahe
Ki kaisa din hai aaya
Samvidhaan ki hatya hui
Aur rakshaso ka saaya

Ki desh ki seema par khada sipahi,
Desh ka behad haqdaar hai
Mazhab ke naam pe jo desh ko baata,
Aap kaahe ke chowkidaar hai

Ho gai mrityu, bebas jal gaya
Na khet ugi uski, uska ghar gaya
Khule maidano mein waadein karte gaye
Pura ek na hua, kisaan marte gaye

Ki maas ka tukda tha woh
Kisi ke muh na niwala tha
Bhakshak ki syahi daudi khoon mein tumhare
Katal kiya jise woh kisi ka sahara tha

Ki tu jab aaya daawa kar ke
Saza dena jo ho nakaamiyaab
Bandh kar di rozi begairo ki
Kabhi diya na uss gunaah ka hisaab

Sikka khota ho gaya
Chala na tera naam
Bhikmanga hokar raaste par desh
Jo badha jeene ka daam

Aap ke darje se tum ko pukara
Aur tu ki di salaami
Bharat ne 200 saal angrezo ki ki
Aur 10 saal chaiwale ki gulami