Ghadi
Kaante toh uske bade haseen the
Magar jab waqt aata, toh chubhte bhi bohot the
Paaband toh the hi hum waqt ke hamesha
Magar waqt hamari qismat ka paband na raha
Lamhe bitaye, bitaye pal, gina har ek woh taara
Aapki yaad mein jo dil choor hua, hua besahara
Adam ki socho dastaan, jab tha na koi paas mein
Kaanta hoga zamana, Hawwa ke aane ki aas mein
Toh tiki hui hai zindagi jab ghadi ki sirf ek tik par
Bulaawa aapka aayega, toh rukoge kaise zid par?
Aaya tha woh beeta hai, aaya tha woh kal
Chaho jo sab maang lo, jab dua ka aaye pal
Ho na ho, wo de bhi de, maangnewala paayega
Mil jayega jag saara, ek apna time bhi aayega