Khwaab

khwaab

Zindagi tiki hai khwaabo ke sahare
Kabhi aate hai neend mein
Toh kabhi fajr ke kinare.
Khwaabo ka woh darya behta har jagah hai
Kabhi parvat ki choti, kabhi maidaan khula khula hai.
Aasmaan ki aur jo jaate hai khwaab
Dua ki taaseer lekar aankho se aab–
Jo tapakta hai gaalo se lipat kar
Baadal bhi muskura dete hai, hamari ummeed aur hamare khwaab par.
Khwaabo ki apni ek itrat hoti hai
Hume Iagta hai khair, par unki bhi ek fitrat hoti hai.
Dil mein baste hai, zehan ko lubhaate hai
Khayalo ka toh pata nahi mohtarma,
Par hume khwaab bade aate hai.