Taj
Tha woh kal ek banda
Raha nahi woh aaj
Duniya pagal bulati thi
Par kiya usne apna raj
Jahan usko maante the
Shahi tha uska raajya
Parwah na ki gairon ki
Kahe jo kahe samaaj
Lugai uski bohot thi
Lagta tha woh viraaj
Pagal sirf tha ek ke upar
Sharam na ki na laaj
Sundar thi woh behad
Lagti thi woh gaaj
Aankhe dekh ke phisal gaya
Aur mann uska parwaaj
Sangemarmar ki deewaron ka
Kiya behad saaj
Kitna ishq karte the aap
Mumtaaz se Maharaj?
Kaante jo haath aapne
Jisse kiya tha itna kaaj
Kya yahi prem ki nishani hai
Kya yahi hai aapka Taj?