Telephone
Chamak uthte the chehre
Jab aati thi tring ki awaaz
Baaton mein ghanto kho jaate the
Kaz'a kahbi ho bhi jaati thi namaz
Haal puche, sawaal puche, puche gali chauraahe ke kisse
Tab toh tha waqt sab ke paas, bate na the ghadi ke hisse
Aata tha woh bulawa kabhi abbu ke naam se
Taal dete the jawaab, bina fursat ke kaam se
Nani ki awaaz sunke dil hamesha jhoom jata tha
Unko talab thi hamare deedaar ki,
Kabhi yeh dil bhool jata tha
Bhoolte toh bohot kuch chale gaye, manzilo ko yaad hai
Janmdin par jo phone na kiya, maashooka ko faryaad hai
Aaj toh kaha hi bajti hai tring ki ghanti
Silent pe 6 ghante timtimati woh notification ki batti
Dilo ki baatein ab missed call mein reh jaati hai
Taareef ka zamana bedaur hua
Laal dil se hi zamaane ko jaan mein jaan aati hai