Woh

woh

Woh mili
Uski zindadili
Mujhe bha gayi
Mann pe chha gayi
Maine kaha suno
Mujhe apna chuno
Woh boli chalo
Pehle aake milo
Phir dekhenge
Kuch sochenge
Kal parso kuch kahenge
Tumse baatein karenge
Jab mann aayega
Dil behal jayega
Hum karenge izhaar
Agar hoga kuch pyaar
Nahi toh nata todenge
Aapko tanha chhodenge
Toh usse humne kaha
Ki bin aapke jahan
Hoga behad pheeka
Dard jo ho woh teekha
Hum dard seh lenge
Khud se khud ko keh lenge
Ki dil jo tootna tha toot gaya
Khafa hue, mann rooth gaya
Gaya toh gaya, jana ek bahana tha
Apna jo tha woh laut kar hi toh aana tha